How to Create Lyrics Website/ Lyrics Keyword ideas full case study in Hindi

How to Create Lyrics Website: Kya aap bhi Lyrics website banana chahte hai aur paise kamana chahte hai? To ye post aapke liye hi hai. Present time me lyrics website banana ek naya trend ban chuka hai, beginner ho ya expert sabhi blogger is niche par work kar rhe hai. Is post me mai aapko bataunga ki lyrics website kaise banate hai (How to create lyrics Website).

In this post, mai aapko lyrics website ke bare me detail se bataunga. Aur is post ko padhkar aapke sare doubts and question ko clear karne ki koshish karunga.

Best lyrics website banane ke liye aapke man me kai prakar ke question aa rahe honge jaise:

  • Lyrics Website Kaise Banaye?
  • Lyrics website ke liye best theme kaun si hai?
  • Lyrics keyword ideas kaha se laye?
  • Lyrics website me adsense approval kaise le?
  • Song website me scope hai ya nhi etc

In sare sawalo ke jawab mai is post bataunga. Isliye is post ko aakhiri tak jarur padhe.

Lyrics Website Kaise Banaye (How to create Lyrics Website in hindi)

Song website banane ke liye aapke pas ek custom domain ka hona bahut jaruri hai phir chahe wah blogspot me ho ya WordPress me.

Blogger me hume blogspot ka Sub-domain milta hai jisse site ko approval milna aur ranking ko increase karne me bada samay lag jata hai. Isliye aapke pas lyrics website banane ke liye custom domain ka hona bahut jaruri hai.

Lyrics domain kaise kharide?

Godaddy aur Bigrock se aap custom domain purchase kar sakte hai. But dhyan rahe domain ko purchase karte samay domain name me lyrics word jarur include kare, jisse aapki website ko lyrics keyword milega aur website rank karne ke chance bhi jyada ho jayenge. For exp: lyricssong, lyricsallsong, allsonglyrics etc.

Lyrics website theme for blogger / WordPress

Kisi bhi website ko rank karane ke liye best theme ka hona bahut jaruri hai, aapki theme ka design hi first impression hota hai kyuki jab bhi koi google visitor aapki site me aata hai to wo website ki design ko dekhkar hi attarct hota hai.

“First impression is the last impression” ye slogan to aapne suna hi hoga. Isiliye aapke pas mobile-friendly, SEO, responsive aur Adsense support wali theme ka hona bahut jaruri hai.

Lyrics website create karne ke liye theme ke design ke sath sath theme ki speed bhi achchhi honi chahiye jisse aapki website jaldi open ho sake. Yadi aapko theme ki speed aur ranking ko check karna nahi aata to yah post jarur padhe.

Agar aap theme ko buy nahi kar sakte to bhi aap free theme ko use karke badhiya design karke adsense approve le sakte hai. Lyrics website theme ke kuch naam niche mention kar raha hun jinhe aap apne blog me use kar sakte hai.

Best Lyrics Theme for Blogger (Blogspot) Free

  • Lyricist (Most popular and responsive theme for lyrics)
  • Indigo (Mobile friendly and good customized)
  • SEOMag (Fast loading and best looking)
  • Catarina (One of my favorite theme for lyrics)

Best Lyrics theme for WordPress in Free

  • Ribbon Lite (Helping for quick adsense approve)
  • Generatepress (Very Light weight and fully responsive theme)
  • Newspaper Theme (Paid Theme)

Note: Jo blogger Newspaper theme ko afford nahi kar sakte wo hume contact us par e-mail ke through contact kar sakte hai yah theme aapko bahut hi cheap price me de di jayegi.

Agar aapki nazar me lyrics website ke liye best free theme ke bare me pata hai to aap comment box me suggest kar new blogger ki help kar sakte hai.

Create pages for Lyrics website

Lyrics website create karne ke liye aapne custom domain purchase kar liya aur blogger ya wordpress ke liye theme download kar li. Ab next aur sabse important part hai song website ke liye pages create karna.

Same other website ki tarah isme bhi aapko pages create karna padta hai jaise, Privacy Policy, About Us, Contact Us, Disclaimer, Sitemap

Lyrics website me adsense approval ke liye ye important pages create karna jaruri hai.

Find Lyrics Keyword Ideas

Abhi tak humne song website ke liye custom domain purchase kar liya aur ek seo friendly theme select karne ke sath-sath important pages bhi create kar liye.

Ab hume lyrics keyword ideas par focus karna hai jo ki aasan bhi hai aur mushkil bhi kyuki songs ke lyrics word kahi se bhi change nahi hote hai.

Isliye hume un keyword par dhyan dena hoga jinme competition low ho aur traffic high ho. Lyrics keyword nikalne ke liye aapko thora smart hona padega, so mai jo tarika bata raha hu use dhyan se padhiye.

Lyrics song ko rank karane ke liye hume achche keyword ko target karne ki need hoti hai lekin problem yah aati hai ki jis lyric keyword ko hum target kar rahe hai wah already google me ranked hai to phir kaise lyrics keyword ke idea ka pata lagaye.

Mai yahan example ke through aapko samjhane ki koshis karunga for exp aapne “Ek Mulakat dream girl lyrics” keyword ko target kiya hai.

How to create lyrics website

Screenshot ke About section ko dhyan se dekhenge to search volume lagbhag 6 lakh ke approx payenge jo ki yah bahut jyada hai.

Is keyword ko rank karne me bahut jyada time lag jayega ya u kahe ki is keyword par kaam karna aapke liye waste hoga. Ab agar mai isi song ko different tarah se target karu “Kal talak wo jo mere khayalon me lyrics” to kuch is tarah result milega.

lyrics keyword idea

Result me dekhe kewal 19,900 hi result aaye hai yani is keyword par work kiya ja sakta hai aur is keyword par aapka lyrics content google me rank kar sakta hai.

CPC bhale hi 0.00 ho magar aapko isi keyword par work karna hai. Isi tarah other songs ke keyword ko beech se nikale aur us par work kare, isse aapki post jald hi rank hogi aur website ki domain authority bhi badhegi.

Lyrics website par post kaise likhe

Upar bataye gaye sare steps ko follow karne ke baad ab songs ke lyrics par post likhne hai. Par lyrics word likhne se pahle bahut se sawal create ho jate hai.

Niche kuch question answer hai jinhe padhkar aapke doubt clear ho jayenge.

1. Lyrics Website par Copyright aata hai ya nahi?

Iska simple sa jawab hai Yes and No. kyuki songs ke lyrics aap khud se change kar nahi sakte isliye post likhte samay same word hi likhenge.

2. Kisi dusri Lyrics website se copy paste kaise kare?

Lyrics song aap khud se change kar nahi kar sakte isliye kisi dusri website se lyrics ko copy karke paste kar sakte hai,

lekin rukiye copy karte samay apni post me turant paste na kare balki apne notepas ya wordpad me paste kare.

Paste karne ke baad uska font style aur font size change kare aur alignment change kar de. Ab aap content ko copy karke apni post me paste kar de. Isse Copyright ka issue nahi aayega.

3. Kya lyrics website par Adsense approval milta hai?

Ji han, songs site par adsense approval milta hai aur aap achchi kamayi bhi kar sakte hai ye mere khud ka personal experience hai.

4. Lyrics website Long term ke liye hai ya short term ke liye?

Agar aap ek part time blogging karna chah rahe hai to is lyrics niche par work kar sakte hai lekin ye long term ke liye bilkul nahi hai.

Google core humesha apni nayi nayi update karta rahta hai isliye ho sakta hai ki lyrics ke liye koi new policy ya terms & condition aa gyi to aapki mehnat bekar chali jayegi.

Isliye mai recommend karunga ki music site ke liye aap short term ke liye work kare na ki long term ke liye.

Ummid karta hu ki aapke sawalo ka jawab abhi tak mil gaye honge, aur ab hum agle main topic par aate hai.

Lyrics post kaise likhe

Lyrics post likhne ke 2 method hai isme ek method mai already qus ans wale topic me bata chuka hu.

Agar aapko copy paste karne me doubt hai to aap ye wala method follow kariye. Jaisa ki maine pahle hi bataya hain ki kisi bhi song ke lyrics ko apne man se change nhi kar sakte isliye aapko same word hi likhna padega.

Songs ke lyrics ko likhne se pahle 2 se 3 line ka ek paragraph likhe jo ki song se related hona chahaiye jaise hume tumse hua hai pyar ke songs ko likhne ja rahe hai to pahle uska description likh de.

Description likhne ke baad song se related ek image upload kar de aur uske baad aapko song info bhi dena hai for exp

  • Song
  • Lyricst
  • Singer
  • Music
  • Composer
  • Director
  • Music label company

Is tarah ek achcha sa format banaye agar aapko insbki jankari nhi hai to aap YouTube me jakar jis song ke lyrics likh rahe hai us song ko open kar le waha ye sari detail mil jayegi.

Itna likh dene ke baad ab aap kisi other website ko open kare aur us song ki lyrics ko dekhkar apni post me likh de. Lyrics likhte time font style and font size ka jarur dhayan de, dhayn rahe low keyword ka hi use kare jisse google aapke song ko jaldi catch kar sake.

Final Word

Part time me ya short term ke liye blogging karna chah rahe hai to lyrics Niche par work karna aapke liye benefit shabit ho sakta hai.

Lekin dhayn de lyrics website me aapko pura time dena padega aur continue update karte rahna hoga because per day songs release hote rahte hai aur aise me aapko latest lyrics likhne me hi aapki website ko achcha response mil sakta hai.

Lyrics site me bhi ab competition badhne laga hai isliye jald se jald ispar work karna start kar de.

Note: Mai long term plan ke liye lyrics niche par work karne ko bilkul bhi recommend nahi karunga because google core ki update humesha change hoti rahti hai ho sakta hai ki aane wale time me lyrics website me kuch changes dekhne ko mile jisse aapko nuksan uthana pad sakta hai.

Ummid Karta hu ki aapko How to Create Lyrics Website / Lyrics Keyword ideas full case study in Hindi post aapke liye helpful sabit hui hogi. Agar aapke pas aur bhi achche points hai to comment me share karna na bhule.

Post achchi lagi ho to ise social media me jarur share kare taki dusre log bhi website bana sake.

Leave a Comment